Ghalib
Home ] Back ] More Ghazals ] Biography ]

 

Ahmad Faraz
Parveen Shakir
Meer
Iqbal
NFAK
Nida Fazli
Zafar
Ghalib
Jigar
Ibn e Insha
Faiz
Daag
Dard
Nasir Kazmi
Andleeb Shadani
Qateel Shifai
Amjad Islam

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_ra.ng-e-gulistaa. N honaa

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haae us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa

--ghalib

shab ko kisee kay Khwaab mey aayaa na ho kaheeN
dukhtay haiN aaj us but-e-naazuk_badan ke paoN

--ghalib



aage aatii thii haal-e-dil pe ha.Nsii
ab kisii baat par nahii.n aatii
--ghalib


dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaN?
uthiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

--ghalib

muddat huee hai yaar ko mehmaaN kiye hue
josh-e-qadah se bazm chiraaGHaaN kiye hue

karta hooN jama'a fir jigar-e-laKHt-laKHt ko
arsa hua hai daawat-e-mizhgaaN kiye hue

fir waz'a-e-'ehtiyaat se rukane laga hai dam
barsoN hue haiN chaak girebaaN kiye hue

phir jii me.n hai ki dar pe kisii ke pa.De rahe.n
sar zer baar-e-minnat-e-darbaa.N kiye hue
[sar zer baare = bowed head]

jee DhoonDta hai fir wohee fursat ke raat din
baiTHe rahaiN tasavvur-e-jaanaaN kiye hue

'GHalib' hameiN na cheD ki fir josh-e-ashq se
baiTHe haiN ham tahayya-e-toofaaN kiye hue
--ghalib